Home » Ram Bhajan » Uth naam simar- Ram Bhajan By Sudhansu ji Maharaaj

Uth naam simar- Ram Bhajan By Sudhansu ji Maharaaj

Lyrics:Uth naam simar

Uth naam simar, mat soye raho,
mann ant samay pachhtayegaa

Jab chidiyon ne chug khet liya,
phir haath kuchh naa aayega

Uth naam simar, mat soye raho,
mann ant samay pachhtayegaa

Haas vilaas me beeti ye umariya,
bahut gayi rahi thodi umariya

Jal gaya deepak bujh gayi baati,
koi na raah dikhaayega

Uth naam simar, mat soye raho,
mann ant samay pachhtayegaa

Paap bhog se bharali gathariya,
jaana re tujhako aur nagariya

Jaisa karega vaisa bharega,
koi na saath nibhayega

Uth naam simar, mat soye raho,
mann ant samay pachhtayegaa

Ram naam dhan bharlo khajaana,
rahana nahin ye desh begaana

Prabhu ke sevak hokar rahiye
Prabhu ke chaakar hokar rahiye
Bhaav saagar tar jaayega

Uth naam simar, mat soye raho,
mann ant samay pachhtayegaa

Uth naam simar, mat soye raho,
mann ant samay pachhtayegaa

Jab chidiyon ne chug khet liya,
phir haath kuchh naa aayega

Uth naam simar, mat soye raho,
mann ant samay pachhtayegaa

Check Also

Swarg Se Sundar Mithila Dham- Ram Bhajan

Lyrics: Swarg se sundar mithila dham Swarg se sundar mithila dham, maandan ayachi raja janak …