Lyrics: Shyam Tere Bharose Mera Pariwar Hai
Shyam tere bharose, mera pariwar hai,
Tu hi meri naav ki maanjhi, tu hi patwaar hai,
Shyam tere bharose, mera pariwar hai,
Ho agar achha maanjhi, naav bhi paar hoti,
Kisi ki bich bhawar mei, phir na darkaar hoti,
Ho agar achha maanjhi, naav bhi paar hoti,
Kisi ki bich bhawar mei, phir na darkaar hoti,
Ab toh tere bharose, Ab toh tere bharose, mera ghar- baar hai,
Shyam tere bharose, mera pariwar hai,
Tu hi meri naav ki maanjhi, tu hi patwaar hai,
Shyam tere bharose, mera pariwar hai,
Maine ab chhodi chintaa, saath jo tera paya,
Tujhko jab bhi pukaaraa, apne hi paas paya,
Maine ab chhodi chintaa, saath jo tera paya,
Tujhko jab bhi pukaaraa, apne hi paas paya,
Mujhpe ehsaan tera ho, Mujhpe ehsaan tera ho, baba besumaar ho,
Shyam tere bharose, mera pariwar hai,
Tu hi meri naav ki maanjhi, tu hi patwaar hai,
Shyam tere bharose, mera pariwar hai,
Mujhko apno se badhkar, sahara tune diya hai,
Jindagi bhar jine ka, gujaaraa tune diya hai,
Kehta bhagat yeh tera, Kehta bhagat yeh tera, bada upkaar hai,
Shyam tere bharose, mera pariwar hai,
Tu hi meri naav ki maanjhi, tu hi patwaar hai,
Shyam tere bharose, mera pariwar hai,