Lyrics: Sawan ki barse badariya
Sawan ki barse badariya, maa ki bhigi chunariya,
Bhigi chunariya maa ki bhigi chunariya,

Lal chola maiya ka cham cham chamake,
Mathe ki bindiya bhi damdam damake,
Haantho mei jhalke mundariya,
Maa ki bhigi chunariya,
Sawan ki barse badariya, maa ki bhigi chunariya,
Chhayi hariyali jhume amuwa ki daali,
Hoke matwali kuke koyaliya kaali,
Baadal mei kadke bijuriya,
Maa ki bhigi chunariya,
Sawan ki barse badariya, maa ki bhigi chunariya,
Uncha bhawan tera uncha hai dera,
Kaise chadhu paao fisle hai mera,
Tedhi medhi hai dagariya,
Maa ki bhigi chunariya,
Sawan ki barse badariya, maa ki bhigi chunariya,
Kali ghta pani bhar bhar ke layi,
Jhula jhule Vaishno mayi,
Hum sab pe maa ki najariya,