Home » Radha Krishna Bhajan » Radhe Ka Bhi Shyam- Radhe Krishna Bhajan

Radhe Ka Bhi Shyam- Radhe Krishna Bhajan

Lyrics: Radha ka bhi Shyam

Shyam teri bansi pukare radha naam
Log karen meera ko yunhi badnam
Shyam teri bansi pukare radha naam
Log karen meera ko yunhi badnam

Saanwre ki bansi ko bajne se kaam
Radha ka bhi shyam wo
To meera ka bhi shyam
Radha ka bhi shyam wo
To meera ka bhi shyam

Jamuna ki lehren bansibat ki chhaiyan
Kiska nahin hai kaho krishan kanhaiya
Shyam ka deewana to sara brij dhaam
Log karen meera ko yunhi badnam

Kaun jaane baansuriya kisko bulaye
Jiske man bhaye wo usi ke gun gaye
Kaun nahin bansi ki dhun ka gulaam
Radha ka bhi shyam wo to
Meera ka bhi shyam

Shyam teri bansi pukare radha naam
Log karen meera ko yunhi badnam

Saanwre ki bansi ko bajne se kaam
Radha ka bhi shyam wo
To meera ka bhi shyam

Check Also

Meri Chunar Mei Par Gayo\ Radhe Krishna Bhajan

Lyrics: Meri chunar mei par gayo Meri chunar mei par gayo daag ri, kaiso chatak …