Home » Best of Bhajans » Mera Aapki Kripa Se- Khatu Shyam Bhajan

Mera Aapki Kripa Se- Khatu Shyam Bhajan

Lyrics: Mera Aapki Kripa Se

Mera aapki kripa se, har kaam ho raha hai,

Karte ho tum Kanhaiya, mera naam ho raha hai,

Meri jindagi mei tu hai, mere paas kyaa kami haim
Mujhe aura b kisi ki, darkaar bhi nahi hai,
Bas hota rahe hamesa, jo kucch bhi ho raha hai,
Mera aapki kripa se, har kaam ho raha hai,
Karte ho tum Kanhaiya, mera naam ho raha hai,

Karta nahi mai phir bhi, har kaam ho raha hai,
Kaanha teri badolat, aaram ho raha hai,
Mujhe yeh bhi pata naho hai, yeh kyaa- kyaa ho raha hai,
Mera aapki kripa se, har kaam ho raha hai,
Karte ho tum Kanhaiya, mera naam ho raha hai,

Patwaar ke bina hi, meri naav chal rahi hai,
Banwari bina hi maange, har chiz mil rahi hai,
Marji hai teri baba, achcha hi ho raha hai,
Mera aapki kripa se, har kaam ho raha hai,
Karte ho tum Kanhaiya, mera naam ho raha hai,

Check Also

Khatu Mei Jab\ Khatu Shyam Bhajan By Sanjay Mittal

Lyrics:Khatu mei jab jab gyaras ki, Khatu mei jab jab gyaras ki, Khatu mei jab …