Home » Durga Maa Bhajan » Mann ke dwaare khol- Durga Maa Bhajan By Mohammad Rafi

Mann ke dwaare khol- Durga Maa Bhajan By Mohammad Rafi

Lyrics: Mann ke dwaare khol

Mann ke dwaare khol ke de do apne moh ka daan re
Kal ki maya kaun jaane kab nikle ye pran re

Khali haath hi aaye hein aur khali haath hi jaana hai
Ek hari ka naam pukaro gar mukti ko paana hai
Chhod do paapi jeevan aur chhodo sara abhiman re
kal ki maya kaun jaane kab nikle ye pran re

Pooje mandir aur shiwale hue magar hein sab bekaar
Man hai maya jaal mein pooja hogi kaise aakhirkar
Tan ke sukh ki khatir insan ban gaya shaitan re
Kal ki maya kaun jaane kab nikle ye pran re

Sundar pawan naam hari ka jisne kanth lagaya
Hari pushp se saja saja ke sundar haar banaya
Bhool na jana man mandir mein giridhar ka gungaan re
Kal ki maya kaun jaane kab nikle ye pran re

Check Also

Sir Ko Jhuka Lo\ Maa Durga Bhajan By Lakhbir Singh Lakkha

Lyrics:sir ko jhuka lo Chhu le jo maa ki chaukhat ko, to jara bhi sitara …