Lyrics: Kabhi Bhagwan Ko
Kabhi bhagwan ko bhi bhagto se kaam pade
Jana tha Ganga par prabhu Kevat ki naav chade,
Kabhi bhagwan ko bhi bhagto se kaam pade
Jana tha Ganga par prabhu Kevat ki naav chade,
Avadh chod prabhu van ko ayee, Siya Ram Lakhan Ganga Tat ayee,
Kevat man hi man harshaye, ghar baithe parbhu darshan payee,
Haath jod kar prabhu ke aage kevat magan khade
Prabhu bole tum naav chalao, par hame kevat pahuchao,
Kevat kehata suno hamari Charan dhul ki maya bhari,
Main garib naya meri mahi na hoi pade
Kevat daud ke jal bhar laya, Charan dhoye charanamrit paya,
ved granth jis ke yaash gaye kevat unko naav chadaye,
barse phool gagan se aise bhakt ke bhaag bade,
Chali naav Ganga ki Dharaa, Siya Ram Lakhan ko paar utara,
prabhu dene lage naav utrai kevat kahe nahi Raghurai,
paar kiya maine Tumko, Ab Tu mohe paar kare,