Home » Best of Bhajans » Jitney Wale Ke Sab Saathi- Khatu Shyam Bhajan

Jitney Wale Ke Sab Saathi- Khatu Shyam Bhajan

Lyrics: Jitney Wale Ke Sab Saathi

Jitney wale ke sab saathi, yeh hare ka sahara,

Aisa Shyam humara,
Jiski naiya isne thaami, bhav se parr utaraa,
Aisa Shyam humara,
Jitney wale ke sab saathi, yeh hare ka sahara,
Aisa Shyam humara,

Jiske sang mei ho Kanhaiya, uski naa dube naiya,
Majhdhaar bhi kya kar lega, jab saath ho aisa khewaiyaa,
Iski kripa se hi chalta, hum jaiso ka gujara,
Aisa Shyam humara, oh ho Aisa Shyam humara,

Kaliyug mei danka bajta, ghar- ghar mei iski kahaani,
Khatu se bhejta rehta, bhakto ko dana pani,
Gunj raha saari duniya mei, Shyam naam ka nara,
Aisa Shyam humara, oh ho Aisa Shyam humara,

Jo jag se haar ke ata, ye usko gale lagata,
Yeh isi liye toh jag mei, hare ka saathi kahata,
Kahe Pawan jo sharan mei aaye, kabhi nahi wo hara,
Aisa Shyam humara, oh ho Aisa Shyam humara,

Check Also

Khatu Mei Jab\ Khatu Shyam Bhajan By Sanjay Mittal

Lyrics:Khatu mei jab jab gyaras ki, Khatu mei jab jab gyaras ki, Khatu mei jab …