Home » Khatu shyam Bhajan » Lakshmi maa aarati » Jai Lakshmi Kalyani Maiya- Lakshmi Mata Bhajan

Jai Lakshmi Kalyani Maiya- Lakshmi Mata Bhajan

Lyrics: Jai lakshmi kalyani maiya

Jai lakshmi kalyani maiya
Jai lakshmi kalyani
Jai lakshmi kalyani maiya

Sab aaye sharan tihari maiya
De darshan maharani

Jai lakshmi kalyani maiya
Jai lakshmi kalyani
Jai lakshmi kalyani

Tu mangalmay pawan maiya
Kripa sada barsave
Deen dukhi sharnagat jan ke
Bigade kaaj banave

Tu anant mahadani maiya
Jai lakshmi kalyani
Jai lakshmi kalyani

Dev sabhi aradhan karte
Rishi muni dhyan lagate
Is nashwar sansar ke prani teri kirat gaate

Tu devi vardani maiya
Jai lakshmi kalyani
Jai lakshmi kalyani

Tu raji jisape ho jave
Khole shukh ke dware
Man mein jagave gyan ki jyoti
Har leti andhiyare

Tu jyotirmai shiwani maiya
Jai lakshmi kalyani
Jai lakshmi kalyani