Lyrics: Fariyad Meri Sunke Bholenath Chale Aana
Fariyad meri sunke Bholenath chale aana,
Neet dhyan dharu tera,bigadi ko bana jana,
Tujhe apna samajhkar mai, fariyad sunata hu,
Tere dar par aakar mei neet dhuni ramata hu,

Kyon bhul gaye baba, mujhe samajh ke begana,
Fariyad meri sunke Bholenath chale aana,
Neet dhyan dharu tera,bigadi ko bana jana,
Meri naao bhanwar dole, tumhi toh khewaiya ho,
Jag ke rakhwale tum, tumhi toh Kanhaiya ho,

Kar bail sawari tum, bhaw paar laga jana,
Fariyad meri sunke Bholenath chale aana,
Neet dhyan dharu tera,bigadi ko bana jana,
Tum bin na koi mera, ab naath sahara hai,
Is jiwan ko maine, tujh par hi wara hai,

Marji hai teri baba, achha nahi tadpaanaa,
Fariyad meri sunke Bholenath chale aana,
Neet dhyan dharu tera,bigadi ko bana jana,
Naino mei bhare aansu, kyon taras na khate ho,
Kya dosh hua mujhse, mujhe kyon thukraate ho,

Ab meher karo baba, sunkar mera afsana,