Lyrics: Duniya chale na Shri Ram
Duniya chale na Shri Ram ke bina,
Ram ji chale na Hanuman ke bina
Duniya chale na Shri Ram ke bina,
Ram ji chale na Hanuman ke bina
Jab se Ramayan padh li hai,
Ek baat maine samajh li hai
Ravan mare na Shri Ram ke bina,
Lanka jale na Hanuman ke bina
Duniya chale na Shri Ram ke bina,
Ramji chale na Hanuman ke bina
Lakshman ka bachana mushkil tha,
Kaun booti laane ke kaabil tha
Laxman bache na Shri Ram ke bina,
Booti mile na Hanuman ke bina
Duniya chale na Shri Ram ke bina,
Ram ji chale na Hanuman ke bina
Sita haran ki kahaani suno,
Banwaari meri jubaani suno
(bhakto meri jubaani suno)
Wapas mile na Shri Ram ke bina,
Pata chale na Hanuman ke bina
Duniya chale na Shri Ram ke bina,
Ram ji chale na Hanuman ke bina
Baithe sinhaasan pe Shri Ram ji,
Charano mein baithe hain Hanuman ji
Mukti mile na Shri Ram ke bina,
Bhakti mile na Hanuman ke bina
Duniya chale na Shri Ram ke bina,
Ram ji chale na Hanuman ke bina
Duniya chale na Shri Ram ke bina,
Ram ji chale na Hanuman ke bina