Lyrics:Bhala kisi ka kar na
Bhala kisi ka kar na sako to,
bura kisi ka mat karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Bhala kisi ka kar na sako to,
bura kisi ka mat karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Ban na sako Bhagwan agar tum,
kam se kam insaan bano.
Nahin kabhi shaitaan bano,
nahin kabhi haivaan bano.
Sadaachaar apnaa na sako to,
paapo mein pag mat dharnaa.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Bhala kisi ka kar na sako to,
bura kisi ka mat karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Satya vachan na bol sako to,
jhooth kabhi bhi mat bolo.
Maun raho to hi achchha,
kam se kam vish to mat gholo.
Bolo yadi pahle tum tolo,
phir moonh ko kholaa karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Bhala kisi ka kar na sako to,
bura kisi ka mat karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Ghar na kisi ka basaa sako to,
jhopadiyaa na jalaa dena.
Maraham patti kar na sako to,
khaar namak na lagaa dena.
Deepak ban kar jal na sako to,
andhiyaara bhi mat karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Bhala kisi ka kar na sako to,
bura kisi ka mat karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Amrit pila sako na kisi ko,
zahar pilaate bhi darana
Dheeraj bandha nahin sakte to,
ghaav kisi ke mat karana.
Ram naam ki maala le kar,
subah shyaam bhajan karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.
Bhala kisi ka kar na sako to,
bura kisi ka mat karna.
Pushp nahi ban sakte to tum,
kaante ban kar mat rahna.