Home » Anmol Bhajan » Aapna Toh Khatuwala- Khatu Shyam Bhajan

Aapna Toh Khatuwala- Khatu Shyam Bhajan

Lyrics: Aapna Toh Khatuwala

Aapna toh Khatuwala, ye lile ghode wala,

Aapna toh Khatuwala, ye lile ghode wala,
Saawara, bhakto ka rakhwala, ye murali wala,
Bhagto ka rakhwala,

Shyam ki kirpa se kashti tufaano main tairti,
Kitni bhi uchi ho lehre kashti ko na chhorti,
Ban ke maajhi khud Kanhaiya hi nibhaata saath hai,
Saawara jab sath ho toh, darne ki kya baat hai,
Bigari banane wala dukhre mitaane wala,
Saawara, bhakto ka rakhwala, ye murali wala,
Bhagto ka rakhwala,

Jisne bhi dil se pukaara Shyam uska ho gaya,
Wo kahi ka na rha phir bas isi ka ho gaya,
Bas gayi naino main ye surat salone Shyam ki,
Adulate duniya ki phir uski hai kis kam ki,
Ye tirchhe naino wala jaadu chalane wala,
Saawara, bhakto ka rakhwala, ye murali wala,
Bhagto ka rakhwala,

Prem ka rashiya Kanhaiya prem karke dekhle,
Mashtiya aisi milegi dil lagake dekh le,
Ishke rehte tu akela hai nahi sansaar main,
Na kami kuchh bhi hai mere, Shyam k darwaar main,
Sanju kahe dilwala saath nibhaane wala,
Saawara, bhakto ka rakhwala, ye murali wala,
Bhagto ka rakhwala,

Check Also

Khatu Mei Jab\ Khatu Shyam Bhajan By Sanjay Mittal

Lyrics:Khatu mei jab jab gyaras ki, Khatu mei jab jab gyaras ki, Khatu mei jab …