Lyrics: Na ji bhar ke dekha
Na ji bhar ke dekha, na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulakat ki
Karo drishti ab to Prabhu karuna ki
Badi aarzu thi, mulaaqaat ki
Gaye jab se Mathura, woh Mohan Muraari
Sabhi gopiyaa brij mein vyaakul thi bhaari
Kaha din bitaaya, kahaan raat ki
Badi aarajoo thi, mulaaqaat ki
Na jee bhar ke dekha, na kuch baat ki,
badi aarzoo thee mulakat ki
Chale aao.., chale aao…, chale aao…,
Chale aao, ab to o pyaare Kanhaiya
Yeh sooni hai kunjan aur vyaakul hai gaiya
Suna do ab to inhen dhun murali ki
Badi aarjoo thi, mulaaqaat ki
Naa ji bhar ke dekha, naa kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaakaat ki
Ham baithe hain gam unaka dil mein hi paale
Bhala aise mein khud ko kaise sambhaale
Na unaki suni na kuchh apani kahi
Badi aarajoo thi, mulaaqaat ki
Na ji bhar ke dekha, na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulakat ki
Tera muskuraana bhala kaise bhoolen
Wo kadaman ki chhaiya, vo saavan ke jhule
Na koyal ki koo koo, na papiha ki pi
Badi aarajoo thi, mulaaqaat ki
Na jee bhar ke dekhaa, na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulakat ki
Tamanna yahi thi ki aayenge Mohan
Main charanon mein vaarungi,
tan man yah jivan
Haay mera yah kaisa bigada nasib
Badi aarajoo thi, mulaaqaat ki
Na ji bhar ke dekha, na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulakat ki